Thursday, 25 May 2017

Pukaar - Fir Bhi


Dil chahta hai ek pyaari si duniya main kho jaun,
Hawa ke paro main phoolon ki mahek banke chha jaun,
Baarish ki boondien banke har dil ko bhar jaun
Aawaz ka sur banke ek pyaara sa nagma gaa jaun!

Jahan bhi dekhon hai wahan pyar hi pyar,
Fir bhi ye Dil kar raha hai kisi aur jahan ki pukaar,
Sab kuch hai yahan fir bhi kuch nahin,
Kyun lag raha hai sab kuch galat, jab sab hai sahi.

Mila hai sab kuch yahan, fir bhi kuch aur hai paana,
Sab kuch bhulakar issi pal ko jee jaana,
Samaj mein kuch bhi nahin aa raha jab,
Issi nasamaj mein mann ko aaj behlana.

Durr nazar aa rahi hai saaf ek manzil,
Fir bhi uss par chalna lag raha hai bahot hi mushkil,
Kal ke ehsaano ko yaad karke,
Aaj yuhin kar lungi iss jahan ko hansil.